aoa

teri aahat par..





Zakham muskurate hain, ab bhi teri aahat par
Dard bhool jate hain , ab bhi teri aahat par

Shabnami sitaroun main phool khilne lagte hain
Chand muskurate hain , ab bhi teri aahat par

Umer kaat di lakin bachpana nahin jaata
Hum diiye jalate hain, ab bhi teri aahat par

Ghantiaan si bajti hain raqs hone lagta hai
Dard jagmagate hain, ab bhi teri aahat par

Teri yaad aayeh tu neend jati rehti hai
Khawab toot jaate hain, ab bhi teri aahat par

Jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko
Hum khushi manate hain, ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par chand muskurata hai
Khawab gungunate hain, ab bhi teri aahat par

Tere hijr main hum par ek azab tari hai
Chonk chonk jate hain, ab bhi teri aahat par

Dastakein sajane k muntazir nahin rehte
Raste sajate hain, ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par aas lout aati hai
Hum diye jalate hain, ab bhi teri aahat pa
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...