Uss Mor se shuroo karein aa phir say zindagi.
har shay jahan haseen thi our hum tum ajnabi..
Tumhi ne qadar na jaani, jo ghair ho bethay.
wagarna payaar k maani tumhein bata detay.
wafa shuaar thay aisay kay ik isharay par
ye sir bhi kaat key qadmon main ham saja detay.
Boondain Giriin to aankhon main aansu b aa gye..
barish ka uss ki yaad se rishta zaroor hai..
Sanson main bhi shamil ho lahu main bhi rawaan ho.
janay mere haath ki lakeeron main kahan ho??
Hum MuhAabbat ki Numaish nahiin kartay.
hum lafzon ki farmaish nahiin kartay..
jissay chahtay hain toot kar chahtay hain
phir kisi our ko panay ki khawahish ni kartay.
Be-lous wafayein koi ham se seekhe faraz.
jissay toot k chaha ussay khabar bhi nahiin.
Jo batain keh ni sakta unhein main farz karta hoon.
chalo main farz karta hoon mujhe tum se Muhabbat hai
Iss qadar toot k tum pe hamain pyaar aata hai.
apni banhon main bharain maar he dalain tum ko.
Barbaad karnay k our bhi rastay thay faraz.
na-janay unhein muhabbat ka he khayal kiu aya
Rizq ki talash main chor dya shehar apna warna.
ye choti si umar pardes k qabil to na thi..
oron se b hy rabt mujhy thora sa mgr
tujh se hain jo silsilay inteha k hain..
Tu ne Dekha hai kabhi ik nazar shaam k baad.
kitnay chup chap se lagtay hain shajar sham k baad..
Mujh ko paana hai to mujh main utar kar dekho..
yun kinaaray se samundar ni dekha jaata..
Tu ne awaaz nahiin di kabhi murr kar warna
ham kai sadiyaan tujhe ghoom kar dekha kartay
Shab e Intazaar ki kash-ma-kash na pooch kessay sehar hoi.
kabhi aik chiraag jala diya, kabhi aik chiraagh bujhaa diya..
Yehi bohat hai k betha hai sir jhukaye hoye.
mujhe ujaar kar wo shakhs shrmsaar to hai..
Tujhy Muhabbat karna nahi aata
mujhe Muhabbat k siwa kuch ni aata
zindagi guzarnay k 2 he tariqay hain
aik tujhy ni aata, aik mujhe ni aata
Aik kami thi taj mahal main
ham ne teri tasveer laga di..
Wo jiss ka naam bhi liya, Pahelion ki oot main
nazar pari to chup gyi sahelion ki oot main..
Wo Zindagi ho k dunya, Faraz kiya kijiye.
k jiss se ishq karo bewafa nikalti hai..
Wo ik Parbat ki Shahzaadi..
wo ik parbat ki shahzadi.
kai qarnoon se dil k takht par
jis ki hakoomat hai
hamain ik din ussay taskheer karna hai
ussay khawabon k pardon se udhar
ik jism main tasweer karna hai.
Yehi dil tha k tarasta tha marasim k lye.
ab yehi tark e taluq k lye bahanay mangay.
Chup ho kis wajah se hamain maloom nahiin magar.
dil doob sa jata hai jab tum yaad nahiin kartay..
Chiragh Jalana to puraani rasmain hai faraz.
ab to tere shahar k log insaan jala detay hain.
Pehray Lakh bithaao sad mehfooz karo.
jo jab khona hota hai kho jata hai.
aafat kab insaan se pooch k aati hai.
jab jo hona hota hai ho jata hai.