aoa

Faqat ik Naam e MUHAMMAD sy Muhabbat ki hai




Hum nay har dor main Taqdees e RISALAT k lye.
waqt ki taiz hawaaon sy baghawat ki hai.
tor kr silsila rasm e siyasat ka fusoon 
faqat ik Naam e MUHAMMAD sy muhabbat ki hai.


الصلـــوۃوالســـلام علیکــــــــ یارسول اللہ
وعلٰی آلک واصحابک یا سیدی یا حبیب اللہ

Beautiful Naat


السلام علیکم دوستو

مجھ کو دنیا کی دولت نہ زر چاہیئے
شاہ۔کوثر کی میٹھی نظر چاہیئے

ہاتھ اٹھتے ھی بر آئے ہر مدعا
وہ دعاؤں میں مولا اثر چاہیئے

ذوق بڑھتا رھے اشک بہتے رہیں
مضطرب قلب اور چشم۔تر چاہیئے

رات دن عشق میں تیرے تڑپا کروں
یا نبیﷺ ایسا سوز۔جگر چاہیئے

یا خدا جسم سے جان جب ہو جدا
جلوہ۔یارﷺ پیش۔نظر چاہیئے

اپنے عطار پے ہو کرم بار بار
اذن طیبہ کا باد دگر چاہیئے

الصلـــوۃوالســـلام علیکــــــــ یارسول اللہ
وعلٰی آلک واصحابک یا سیدی یا حبیب اللہ






Zikr e shab e Firaaq sy wehshat usay bhi thi...


Zikr-e-Shab-e-Firaq Se 
Wehshat Usye Bhi Thi

Meri Trah Kisi Se
Mohabat Usye Bhi 
Thi

Mujh Ko Bhi Shoq Tha
Naye Chehron Ki Ded
Ka

Rsta Badal K Chalne Ki
Aadat Usye Bhi Thi

Us Raat Dair Tk Wo Raha
Mahv-e-Guftugoo

Masroof Main Bhi Kam
Tha fraghat Usye Bhi Thi

Sunta Tha Wo Bhi Sab
Se Purani Kahaniyan

Shayad Rafaqaton Ki
Zaroorat Usye Bhi Thi

Mujh Se Bichar K Shehr
Mein Ghul Mil Gaya Wo Shakhs 

Halan-keh Shehr Bhar 
Se Rafaqat Usye Bhi Thi

Wo Mujh Se Barh K Zabt
Ka Aadi Tha Je Gaya

Wrna Hr Aik Sans Qayamat
Usye Bhi Thi

Tanha Hoa Safr Se To
Mujh Pr Khula Ye Bhed

Saaye Se Pyar Dhoop
Se Nafrat Use Bhi Thi



Tumhein Kiyaa MaLoom ...



ye bhi adaab hamare hain tumhain kya maloom
hum tumhain jeet k haare hain tumhain kya maloom

kese nashtar thay un ankhon main
sab k teer seene main utare hain tumhain kya maloom

jise chaho usay sab kuch sonp do apna
sab se juda usool hamare hain tumhain kya maloom

na kabhi siski or na he ah ki kabhi
dil main chupaye sab angaray hain tumhain kya maloom

kabhi ikk nazar ko tarso,kabhi bar bar dekho
ishq kay rang bhi nirale hain tumhain kya maloom

ikk saya sa lehraya tha kuch ajab sa dekh kay
phir doob gaye kinare bhi tumhain kya maloom

ab koi aas,koi umeed nhi baqi
hum tumhain jeet k haray hain tumhain kya maloom...




Main piyas ka sehra wo barsat ki manind ..




Maqrooz K Bigre Hoye
Halaat Ki Manind


Majboor K Honton 
Peh Swalat Ki Manind

Dil Ka Teri Chahat Mein
Ajab Haal Hoa Hai

Selab Se Barbad 
Makanat Ki Manind

Main In Mein Bhatke
Hoye Jugnoo Ki Tarah
Hon

Us Shakhs Ki Aankhen
Hain Kisi Raat Ki Manind

Dil Roz Sajata Hon Main
Dulhan Ki Tarah Se

Ghum Roz Chale Aaty 
Hain Barat Ki Manind

Ab Ye Bhi Nhi Yaad K
Kia Naam Tha Us Ka

Jis Shakhs Ko Manga 
Tha Mnajat Ki Manind

Kis Darje Muqadas Hai
Tere Qurb Ki Khwahish

Masoom Se Bache K
Khayalat Ki Manind

Us Shakhs Se Milna 
Mohsin Mera Mumkin 
He Nhi Hai

Main Piyas Ka Sehra Hon
Wo Barsat Ki Manind




Kahi or An-Kahi ..

An-Kahi ki alag aziyat hai...
or Kahi ka azab mat poocho.


"ان کہی" کی الگ _____اذیّت ہے
اور "کہی" کا عذاب مت پوچھو ..!!!



Uss ko KHUDA ka Dar tha , Allama Iqbal Kalam


har Musalman rag e batil k lye nishtar tha.
uss k aaina e hasti main amal e Johar tha.
Jo bharosa tha ussy Quwwat e bazu par tha.
hai tumhein moat ka dar, Uss ko KHUDA ka dar tha.


Meri Pehli Muhabbat hai..


Zara Sa Dheyan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Wafa Ka Man Rakh Lena, Meri Pehli Muhabbat Hai,

Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Ge Faqeeron Ka,
Milan Aasaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,

Judai Ke Dino Mein Log Chehre Bhool Jate hain,
Meri Pehchaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,

Judai To Main Seh Luungi, Magar Tum Phir Se Milne Ka,
Koi Imkaan Rakh Lena ,Meri Pehli Muhabbat Hai.


Mita kar Apni Hasti ko...


Mita Kar Apni Hasti Ko Sarasar Justaju Ho Ja,,,,

Jo Tu Chahy Ga Wo Ho Ga, Jo "WO" Chahy Wo Tu Ho Ja



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...