aoa

kuch bari baat thi hotay jo....


Manfa'at aik hai iss qoum ki, Nuqsan bhi aik
Aik he sab ka NABI , Deen bhi , Eeman bhi aik 
Haram e Paak bhi , ALLAH bhi, Quran bhi aik.
Kuch bari baat thi hotay jo Musalman bhi aik.




صلى الله عليه وآله وصحبه وبارك وسلم

Tery daryaa main toofaan kiu.....





Teray Daryaa main Toofan kiu nahi hai.
Khudi teri Musalmaan kiu nahiin hai
abas hai shikwa e taqdeer e Yazdaan
tu khud taqdeer e Yazdaan kiu nahi hai.

Yaad hai lehjaa uss ka...




Wo aik baat bohat talkh kahi thi uss nay.
Baat to yaad nahiin ! Yaad hai lahjaa uss ka

thak sa gya hy...




Thak sa gyaa hai meri Chahtoon ka Wajood !!!
Ab koi acha bhi laggay to izhaar nahiin karty

Wo Phool day kay...






Main Lafz dhoond dhoond kay thak bhi gya Adeem !
Wo Phool day kay baat ka izhaar kar gayaa...

Har Dil main Muhabbat ho....




Har Dil main Muhabbat ho ye mumkin nahiin Mohsin.
Har Seep ki aaghosh main gohar nahiin hota !!

Beautiful Poetry..


Mard e Nadaan !!





Phool ki patti say kat sakta hai heeray ka jigar !
Mard e Nadaan par Kalaam e narm o nazuk be-asar 

Baba Yahya Khan.



Aashiq , Chor, Faqeer Khuda ton mangdy ghup haneraa.
ik lutaaway , ik luttay, ik Keh day sab kuj teraa.

Rindoon k maqamaat ..




Baahir hain Had e Feham say rindoon k maqamaat.
kiya tujh ko khabar kon kahan jhoom raha hai.

Muhabbat chor di ham ny..




Kuch waqt ki rawaani nay hamain youn badal diya MOHSIN
wafa par ab bhi qaaim hain, magar Muhabbat chor di ham nay.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...