aoa

Nahi dekha jaata by Mohsin Naqvi



Ashq apna k tumhara, nahin dekha jata
Abar ki zad main Sitara, nahin dekha jata.

Apni sheh'rag ka lahu tan main rawan ha jab tak
Zair'e khanjr koi payara, nahin dekha jata.

Mouj dr mouj ulajhnay ki hawis,be-ma'ni
Doobna ho to sahara, nahin dekha jata.

Tere chehray ki kashish thi k palat kar dekha
Warna sooraj to dobaara, nahin dekha jata.

Aag ki zid pe na ja, phir se bharrak sakti ha
Raakh ki teh main sharaara, nahin dekha jata.

Zakhm ankhon k bhi sehtay thay kabhi dil waly
Ab to abru ka ishaara, nahin dekha jata.

Kya qayamat ha k dil jis ka nagr ha MOHSIN.
Dil pe us ka bhi ijaara, nahin dekha jata.



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...