aarzoo ye nahi k ghum ka toofan tal jaye. fikar ye hai k tumhara dil na badal jaye kabhi bhi mujh ko agr bhoolna chaho tum dard itna dena k mera dam nikal jaye.
Mujh say mat pooch k kiu aankh chuka li main nay teri tasveer thi jo tujh se chupa li main nay jis pe likha tha k tu mere muqaddar main nahiin apnay mathay ki wo tehreer mita li main nay..
Abhi tak saada rakha hai ye kaghaz apni chahat ka. munasab jab bhi samjhain gay koi paigham likh dein gay koi paigham kiya likhna hai ik chotay say kaghaz par jissay hum chahtay hain bus ussi ka naam likh dein gay.
zara khamosh reh kar bhi inhain sab kuch suna dena zubaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena main mujrim hoon mujhe iqraar hai jurm e Muhabbat ka magar pehle khata par ghour kar lo, phir saza dena..
Tabeer se mehroom mere khawab boht hain choti si kahani hai magar baab boht hain. har mor pe mil jaatay hain hamdard hazaaron shaid meri basti main adakaar boht hain.
Halaat kay qadmon pe qalandar nahi girta. tootay bhi sitara to zameen par nahi girta. girtay hain samundar main baray shoq se darya lekin kabhi darya main samundar nahi girta.