aoa

uss ko to bicharnay kay dhang bhi nahi atay..





Uss ko to bichray kay dhang bhi nahin aatay.
mujh say door reh kar bhi qurbaton main rehta hai.
aik aisay insaan say hum ko nisbatain hain jo.
dosti nahin karta, doston main rehta hai.

tum ko bhi daway thay...




Tum ko bhi daway thay kitnay wafa-shanasi kay.
ab phir tum ho our tumhara roug puraana hai.

munafaq...




Dunya main "Qateel" uss sa munafaq nahin koi.
jo zulm to sehta hai baghawat nahiin karta.

kesi larki hai..





Roz laati hai naya ghar kisi guriya kay liye.
kesi larki hai khilonon say behal jaati hai.

jinhain main dhoondta tha...


kisi ki be-basi ka...




kisi ki be-basi ka tamasha matt bano.
har majboor shakhs be-wafa nahin hota.

kiya khoob mere shehar main....




Kiya Khoob mere shehar main insaf hoa hai.
ik khoon bahaa bhi hai to phr muaaf hoa hai.
ae qoum ! teri qismat main izzat hai na ghairat
ye raaz bari dair say ab saaf hoa hai.

bay-irada udaasi..





Zameen say ugti hai ya aasmaan say aati hai.
ye bay-iraada udaasi kahan say aati hai.

zamana apnay hawadis..





Zamana apnay hawadis chupa nahin sakta.
tera hijaab hai qalb o nazar ki na-paaki

youn to ghalat nahiin...





youn to ghalat nahin hai chehron ka taasur bhi magar.
loug wessay bhi nahiin jessay nazar aatay hain.

bech kar talwarain...

Sorry to
AAFIA SIDDIQUI



baich kar talwarain khareed liye musallay hum nay
betiyaan lut'ti rahi our hum dua kartay rahay.

chand sikkon main....

Sorry to 
AAFIA SIDDIQUI 





chand sikkon main bikta hay yahan insaan ka zameer
kon kehta hai mere mulk main mehngaai bohat hai.

ik main he waqif e adaab e muhabbat...

Peer Naseer ud Din Golarvi r.a.





ik main he waqif e adaab e muhabbat hoon nasir.
ahl e wafa dhoondein gay mujhe meray baad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...