bharam khul jaye zaalim! teray qaamat ki daraazi ka.
agar iss turra e pur paich o kham ka paich o kham niklay.
Kal tak mumkin hai main bhi bharpoor baghawat kar bethoon.
aaj agarche shikway ba-tarz e Jamhoori karta hooon
Phoolon ki numaaish main agar too bhi hoa to.
iss baar gulaabon ko bari aag lagay gi..
Wo kessay loug thay bhala bataaye to koi zara.
Jo khoon e dil say likh gaye wo bemisaal kahaniyan
Main Zamanay Main badnaam faqat iss lye hoon
mujhe logon ki tarha badal jaana nahiin aata.
Jab tak bikkay na thay koi poochta na tha..
AAQA aap nay khareed kar anmol kar dya.
(sallalaho alaihi wa sallam)
Tareekh agar dhoonday gi Saani e MUHAMMAD
Saani to bari cheez hai sayaa bhi na milay ga.
(sallalaho alaihi wa sallam)
Muhabbat karni hai to halaat say darna kessa.
jang laazim ho to lashkar nahiin dekhay jaatay.
Charh fareeda kothay tay, wekh ghar ghar laggi agg
tu samjhain main dukhi aan, ethay dukhi sara jagg
Naam to likh doon uss ka har jagah magar ye khayal aata hai.
Masoom hai mera Sanam Kahiin badnaam na ho jaye..
Ki MUHAMMAD say wafa tu nay to ham tery hain.
Ye Jahan hai kya Loh o Qalam Teray Hain..
(Sallalaho alaihi wa sallam)