Zikr-e-Shab-e-Firaq Se
Wehshat Usye Bhi Thi
Meri Trah Kisi Se
Mohabat Usye Bhi
Thi
Mujh Ko Bhi Shoq Tha
Naye Chehron Ki Ded
Ka
Rsta Badal K Chalne Ki
Aadat Usye Bhi Thi
Us Raat Dair Tk Wo Raha
Mahv-e-Guftugoo
Masroof Main Bhi Kam
Tha fraghat Usye Bhi Thi
Sunta Tha Wo Bhi Sab
Se Purani Kahaniyan
Shayad Rafaqaton Ki
Zaroorat Usye Bhi Thi
Mujh Se Bichar K Shehr
Mein Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
Halan-keh Shehr Bhar
Se Rafaqat Usye Bhi Thi
Wo Mujh Se Barh K Zabt
Ka Aadi Tha Je Gaya
Wrna Hr Aik Sans Qayamat
Usye Bhi Thi
Tanha Hoa Safr Se To
Mujh Pr Khula Ye Bhed
Saaye Se Pyar Dhoop
Se Nafrat Use Bhi Thi
No comments:
Post a Comment