raaton ko uth uth rote hn
ro ro kar duayen karte hn
ankhon mn tasavur dil mn Khalish
sar dhunte hn aahen bharte hn
ai ishq ye kaisa rog laga
jeete hn na zalim marte hn
ye zulm to ai jal'lad na kar
ae ishq hamen barbad na kar
do din hi mn ahad-e-tifali k
masoom zamane bhul gaye
ankhon se vo Khushyan mit si gayin
lab k vo tarane bhool gaye
un pak bahishti Khwabon k
dilchasp fasane bhul gaye
un Khwabon se yun aazad na kar
ae ishq hamen barbad na kar
dunya ka tamasha dekh lya
GhamGin si hy betab si hy
umeed yahan ik veham si hy
taskin yahan ik Khwab si hy
dunya mn Khushi ka naam nahin
dunya mn Khushi nayab si hy
dunya mn Khushi ko yad na kar
ae ishq hamen barbad na kar
.
(Akhter Shirani)
urdu poetry , best urdu poetry, urdu shayari, urdu sms poetry,
No comments:
Post a Comment