Beautiful Naat
السلام علیکم دوستو
مجھ کو دنیا کی دولت نہ زر چاہیئے
شاہ۔کوثر کی میٹھی نظر چاہیئے
ہاتھ اٹھتے ھی بر آئے ہر مدعا
وہ دعاؤں میں مولا اثر چاہیئے
ذوق بڑھتا رھے اشک بہتے رہیں
مضطرب قلب اور چشم۔تر چاہیئے
رات دن عشق میں تیرے تڑپا کروں
یا نبیﷺ ایسا سوز۔جگر چاہیئے
یا خدا جسم سے جان جب ہو جدا
جلوہ۔یارﷺ پیش۔نظر چاہیئے
اپنے عطار پے ہو کرم بار بار
اذن طیبہ کا باد دگر چاہیئے
الصلـــوۃوالســـلام علیکــــــــ یارسول اللہ
وعلٰی آلک واصحابک یا سیدی یا حبیب اللہ
Zikr e shab e Firaaq sy wehshat usay bhi thi...
Zikr-e-Shab-e-Firaq Se
Wehshat Usye Bhi Thi
Meri Trah Kisi Se
Mohabat Usye Bhi
Thi
Mujh Ko Bhi Shoq Tha
Naye Chehron Ki Ded
Ka
Rsta Badal K Chalne Ki
Aadat Usye Bhi Thi
Us Raat Dair Tk Wo Raha
Mahv-e-Guftugoo
Masroof Main Bhi Kam
Tha fraghat Usye Bhi Thi
Sunta Tha Wo Bhi Sab
Se Purani Kahaniyan
Shayad Rafaqaton Ki
Zaroorat Usye Bhi Thi
Mujh Se Bichar K Shehr
Mein Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
Halan-keh Shehr Bhar
Se Rafaqat Usye Bhi Thi
Wo Mujh Se Barh K Zabt
Ka Aadi Tha Je Gaya
Wrna Hr Aik Sans Qayamat
Usye Bhi Thi
Tanha Hoa Safr Se To
Mujh Pr Khula Ye Bhed
Saaye Se Pyar Dhoop
Se Nafrat Use Bhi Thi
Tumhein Kiyaa MaLoom ...
ye bhi adaab hamare hain tumhain kya maloom
hum tumhain jeet k haare hain tumhain kya maloom
kese nashtar thay un ankhon main
sab k teer seene main utare hain tumhain kya maloom
jise chaho usay sab kuch sonp do apna
sab se juda usool hamare hain tumhain kya maloom
na kabhi siski or na he ah ki kabhi
dil main chupaye sab angaray hain tumhain kya maloom
kabhi ikk nazar ko tarso,kabhi bar bar dekho
ishq kay rang bhi nirale hain tumhain kya maloom
ikk saya sa lehraya tha kuch ajab sa dekh kay
phir doob gaye kinare bhi tumhain kya maloom
ab koi aas,koi umeed nhi baqi
hum tumhain jeet k haray hain tumhain kya maloom...
Main piyas ka sehra wo barsat ki manind ..
Maqrooz K Bigre Hoye
Halaat Ki Manind
Majboor K Honton
Peh Swalat Ki Manind
Dil Ka Teri Chahat Mein
Ajab Haal Hoa Hai
Selab Se Barbad
Makanat Ki Manind
Main In Mein Bhatke
Hoye Jugnoo Ki Tarah
Hon
Us Shakhs Ki Aankhen
Hain Kisi Raat Ki Manind
Dil Roz Sajata Hon Main
Dulhan Ki Tarah Se
Ghum Roz Chale Aaty
Hain Barat Ki Manind
Ab Ye Bhi Nhi Yaad K
Kia Naam Tha Us Ka
Jis Shakhs Ko Manga
Tha Mnajat Ki Manind
Kis Darje Muqadas Hai
Tere Qurb Ki Khwahish
Masoom Se Bache K
Khayalat Ki Manind
Us Shakhs Se Milna
Mohsin Mera Mumkin
He Nhi Hai
Main Piyas Ka Sehra Hon
Wo Barsat Ki Manind
Majboor K Honton
Peh Swalat Ki Manind
Dil Ka Teri Chahat Mein
Ajab Haal Hoa Hai
Selab Se Barbad
Makanat Ki Manind
Main In Mein Bhatke
Hoye Jugnoo Ki Tarah
Hon
Us Shakhs Ki Aankhen
Hain Kisi Raat Ki Manind
Dil Roz Sajata Hon Main
Dulhan Ki Tarah Se
Ghum Roz Chale Aaty
Hain Barat Ki Manind
Ab Ye Bhi Nhi Yaad K
Kia Naam Tha Us Ka
Jis Shakhs Ko Manga
Tha Mnajat Ki Manind
Kis Darje Muqadas Hai
Tere Qurb Ki Khwahish
Masoom Se Bache K
Khayalat Ki Manind
Us Shakhs Se Milna
Mohsin Mera Mumkin
He Nhi Hai
Main Piyas Ka Sehra Hon
Wo Barsat Ki Manind
Meri Pehli Muhabbat hai..
Zara Sa Dheyan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Wafa Ka Man Rakh Lena, Meri Pehli Muhabbat Hai,
Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Ge Faqeeron Ka,
Milan Aasaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai Ke Dino Mein Log Chehre Bhool Jate hain,
Meri Pehchaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai To Main Seh Luungi, Magar Tum Phir Se Milne Ka,
Koi Imkaan Rakh Lena ,Meri Pehli Muhabbat Hai.
Wafa Ka Man Rakh Lena, Meri Pehli Muhabbat Hai,
Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Ge Faqeeron Ka,
Milan Aasaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai Ke Dino Mein Log Chehre Bhool Jate hain,
Meri Pehchaan Rakh Lena , Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judai To Main Seh Luungi, Magar Tum Phir Se Milne Ka,
Koi Imkaan Rakh Lena ,Meri Pehli Muhabbat Hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)