aoa

Qaseeda Burda Shareef



HU AL HABEEB ULLAZI TURJA SHIFAATUHU
LIKULLI HAOLIM MIN AL AHWALI MUQTAHIMI

We Love Mujahideen e Islam .

Islam ko ab aisay musalman hain darkaar
Ik hath main Quran ho, Ik haath  main talwar



Maktab e Ishq tak Aata hoon Chala jata hoon.



Maktab-e-Ishq Tak Aata Hoon Chala Jata Hoon
Hath Lafzoon Ko Lagata Hoon Chala Jata Hoon

Mein Muhabat K Kisi Shehar Me Badal Ki Tarha
Roney Aata Hoon, Rulata Hoon, Chala Jata Hoon




Bicharna hai to Khushi sy Bichro.


Bicharna Hai Tu Khushi Se Bichro.
Sawal Kaisy, Jawaab Choro.
Kisy Mili Hain Jahan Ki Khushiyan?
Milay Hain Kis Ko Azaab Choro!

Naye Safar Py Jo Chal Parray ho.
Mujhe Khabar Hy K Khush Barray ho.
Hai Kon Ujrra Tumharay Peechay?
Ya Kis K Tootay Hain Khuwab Choro!

Mohabbaton K Tamam Vaaday.
Nibhaye Kis Ne, Bhulaye Kis Ny??
Tumhein Pashemani Ho Gi Jana..
Jo Meri Maano Hisaab Choro!

Dukhi Dilon Ki Pukar Sun'na.
Bana Lo Daa'yamm Amal Ye Apna.
Hai es Me Tum Ko Gunaah Kitna?
Ya Kis Qadar Hy Sawab Choro


Kalam Pir Naseer ud Din Naseer rh.a.





Dukh Pohanchy to ashk aankh main bhar aata hai.
Dil tarpay to lehjay main asar aata hai.
Kuch bhi na kisi main ho to kya aaye nazar
Kuch ho jo kisi main to nazar aata hai..

Shaan e Farooq e Aazam radiALLAHO Anho


MUHAMMAD (alaihi salat o salam) k sahabi ka wo shaana yaad aata hai
Badal kar bhais galion main wo jaana Yaad aata hai.
Najaf iss ehad ki maayein jab aatay ko tarasti hain.
Umar r.a. teri khilafat ka zamaana yaad aata hai.



In Jheel si Gehri Aankhon main....





In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad
to ho
is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad
to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad
to ho
phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad
to ho



Jee Chahy to Sheesha Ban jaa.



جی چاہے تو شیشہ بن جا، جی چاہے پیمانہ بن جا
شیشہ پیمانہ کیا بننا، مے بن جا، مےخانہ بن جا

مے بن کر، مےخانہ بن کر، مستی کا افسانہ بن جا
مستی کا افسانہ بن کر، ہستی سے بیگانہ بن جا

ہستی سے بیگانہ ہونا، مستی کا افسانہ بننا
اس ہونے سے، اس بننے سے، اچھا ہے دیوانہ بن جا

دیوانہ بن جانے سے بھی، دیوانہ ہونا اچھا ہے
دیوانہ ہونے سے اچھا، خاکِ درِ جاناناں بن جا

خاکِ درِ جاناناں کیا ہے، اہلِ دل کی آنکھ کا سُرمہ
شمع کے دل کی ٹھنڈک بن جا، نُورِ دلِ پروانہ بن جا

سیکھ ذہین کے دل سے جلنا، کاہے کو ہر شمع پہ جلنا
اپنی آگ میں خود جل جائے، تو ایسا پروانہ بن جا




Beautiful Naat by Peer Naseer ud Din Naseer r.a.


میں اور مجھ کو اور کسی دلربا سے عشق ؟

خیر الوریٰ سے عشق ہے خیر الوریٰ سے عشق

دنیا کی مجھ کو چاہ نہ اس کی ادا سے عشق

دونوں جہاں میں بس ہے مجھے مصطفیٰ سے عشق

وہ آخـــرت کــی راہ کـو ہمــوار کــر چلا

جـس کو بھی ہو گیا شہِ انبیا سے عشق

کچھ اور مجھ کو کام نہیں اس جہان میں

اپنے نبی سے عشق ہے اپنے خدا سے عشق

دنیا کی دوستی تو ضیاع ہے فریب ہے

اسلام میں روا نہیں اس بے وفا سے عشق

سر میں سرور آنکھوں میں ٹھنڈک ہے دل میں کیف

جب سے ھوا دیار نبی کی ھوا سے عشق

دیوانہِ رسول و علی و حسین کو

طیبہ کی دھن نجف کی لگن کربلا سے عشق

معراج بندگی کی تمنا میں رات دن

میری جبیں ہے در مصطفیٰ سے عشق

پہلے نبی کے عشق میں مدہوش ھو نصیر

پھر یہ کہے کوئی کہ مجھے ہے خدا سے عشق





Hain sabhi tujh ko pukaarty...




کوئـی تیــرے در کا فـقـیـر ہـے کوئـی تیــرے غم میـں اسـیر ہے

ہیں سبھی تجھی کو پکارتے، کوئی سوز میں کوئی ساز میں




Abhi Tum Ishq mat karna.



ابھی تم عشق مت کرنا
ابھی مٹی سے کھیلو تم
تمھاری عمر ہی کیا ہے
ابھی معصوم بچے ہو
نہیں معلوم ابھی تم کو
کہ جب یہ عشق ہوتا ہے
تو انسان کتنا روتا ہے
ستارے ٹوٹ جاتے ہیں
سہارے چھوٹ جاتے ہیں
ابھی تم نے نہیں دیکھا
کہ جب ساتھی بچھڑتے ہیں
تو کتنا درد ملتا ہے
کہ ہر فرصت کے موسم میں
ہزاروں غم ابھرتے ہیں
ہزاروں زخم ملتے ہیں
سنو . . . . !
ابھی تم عشق مت کرنا








Zara si Baat kafi hai.




Khushi k geet gaanay ko zara si baat kaafi hai.
.
Naseeb e Ghum bhulaany ko zara si baat kafi hai.
.
Ghareeb e Shehar kay Ghar main udaasi laakh rehti ho.
.
magar Hansany Hansaany ko zara si baat kaafi hai..

Naat by Allama Muhammad Iqbal



tamasha to dekho jahannam ki aatish
.
lagaye khuda our bujhaye Muhammad
.
tajub ki ja hai k firdos e bala
.
banaye khuda our basaye Muhammad

.
Salalahu alaihi wa sallam .
.
.
Dr. Allama Muhammad Iqbal

Naat by Dr Allama Iqbal



>Kafir e hindi hoon main, daikh mera Zouq o shouq.
>Dil main
"Salat o Darood"
Lab pe
"Salat o Darood"


-->" Naat by Allama Iqbal "

Meri dastaan e hasrat wo suna suna k roye .

Kabhi thak k so gaey hum,
Kabhi raat bhar na soay

Kabhi hans k gham chupaya,
Kabhi moun chupa k roay

Meri daastan-e-hasrat wo suna suna k roay

Mujy aazmany waly mujhy aazma k roay

Shab-e-gham ki aap-beeti,
jo sunai Mehfil me

Kai sun k muskuraey,
kai muskura k roay

Main hun be-watan musafir,
mera B naam be-kasi hy

Mera koi b nahi hy jo galy laga k roay

Mery pas se jo guzry mera haal tak na pucha

Main ye kesy maan jaun,
k wo door ja k roay.

Beautiful NAAT .. <3

Jab husan tha Un ka jalwa numa
=anwaar ka aalam kya ho ga,
.
.*har koi fida hai bin dekhe
=Didaar ka aalam kya ho ga,
.
.*Jab zulf ka zikr hy Quran mein
=Rukhsaar ka aalam kya hoga
.
.*Jis waqt they khidmat mein unki
,
=Abou Bakar
=Umar
=Usman
=Ali (R.A)
=Us waqt RASOOL E Akram (alehe salam) K darbaar ka aalam kya hoga,
.
.*Ek simt Ali
=Ek simt Umar
=Siddiq idhar
=Usman udhar
.
.*In jag mag jag mag taaron mein
=Mahtaab ka aalam kya hoga,
.

Mujhy aisa lutf aata kiya..

Mujhay Aisa Lutf aata Kiya, Jo Hijar Tha Na Wisaal Tha . . .
Meray Mosamoon K Mizaaj-Daan, Tujhay Mera Kitna Khayaal Tha . . .

Kisi aur Chehray Ko Deikh Kar, Teri Shakal zehan mein aa gaii. . .
Tera Naam Lay K mila Ussay, Meray Haafzay Ka Ye Haal Tha . . .

Kabhi Mosamoon K Saraab mein, Kabhi Baam-o-Dar K Azaab mein . . .
Wahaan Umar Hum Ne guzaar Di, Jahaan Saans Lena Muhaal Tha . . .

Kabhi Tu-Ne ghaor Nahi Kiya, K Ye Log Keisay Ujarr gaye? . . .
Koi Meray Jeisa garifta Dil, Teray Saamnay Ki Misaal Tha . . .

Teray Baad Koi Nahi Mila, Jo Ye Haal Deikh K poochta . . .
Mujhay Kis Ki aag Jhulsa gaii, Meray Dil Ko Kis Ka Malaal Tha . . .

Kahein Khoon-e-Dil sy Likha To Tha, Teray Saal-e-Hijar K Saaniyah . . .
Woh Adhorii Dayarii Kho gaii, Woh Na-Jany Kon sa Saal Tha...!!!

lagta nahin k sath nibhaye ga dair tak. :(

Lagta Nhi k Sath Nibhaye Ga Dair Tak;

Lekin wo Mujko Bhool Na Paye Ga Dair Tak;

Jb b Qareeb Aayega uss k Koi Shakhs;

Zaroor wo Meri Daastan Sunaye Ga Dair Tak;

wo Muje In Galiyon Mein Ek Din
Dhoonde Ga;

Or Mujko Dhoond Na Paye Ga Dair Tak;

Main Sahiloon ki Rait Pe Likhoon Ga uska Naam;

Wo Pani Pe Mera Naqash Banaye Ga Dair Tak;

Kis Haal Mein Hoon uss Se Bicharne k Baad Main;

Sun Kar ussay Yaqeen Na Aayega Dair tak....

Happy Independence Day. 14 August. Pakistan Zinda Baad. <3

We the Tigers of Mountains,
We the Fighters of Deserts..

The Guns are our ornamens,
Bravery is our Garment..

Boldness is Our identity ,
War is Our Hobby..

We the decendents of Ghaznvi and Ghauri,
We the defenders against the prithvi and hanuman..

We ,the people of PAKISTAN!!

We go there,
Where death Fears to Go!!

Salam PAKISTAN.

HapPY Independance Day.
.
14th August.

Abhi dastak nahin dena.


Buht totay Hoy hain HUM,
Abhi Dastak Nahi Dena,
Hmari aankh hy Purnam,
Abhi Dastak Nahi Dena,
Mery Yaro abi kuch Din,
Meray ahwaal Mat Pocho,
Abi Dil mein bht hy GHAM,
Abi Dastak Nahi Dena,
Shab-e-tanhai Mein ab bi,
Tarrapna hay buht Mujko,
Abi hay “DARD” kuch Madham,
Abi Dastak Nahi Dena.

Muhabbat nahin rahi. :'(


Woh Silsile Woh Shoq
Woh Nisbat Nahi Rahi
Ab Zindagi Mein Hijar
Ki Wehshat Nahi Rahi
Toota Hai Jab Se Us Ki
Masehaai Ka Tilism
Dill Ko Kisi Masihaa
Ki Hajit Nahi Rahi
Phir You'n Howa Keh
Koi Shanasa Nahi Raha
Phir You'n Hoa K Dard
Mein Shiddat Nahi Rahi
Phir You'n Hoa K Ho
Gaya Masroof Wo Bohat
Or Humen Yaad Karne
Ki Fursat Nahi Rahi
Ab Kia Kisi Ko Chahen K
Hum Ko To In Dino'n
Khud Apne Aap Se Bhi
Mohabbat Nahi Rahi

Hum na samjhy teri nazron ka taqaza kya hy.

Hum na samjhe teri nazron ka takaza kiya hai
"~"

"~"
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kiya hy
"~"

"~"
Mujh ko madhosh kar rakha hai teri ankhon ne
"~"

"~"
Warna Saaqi tere mai-khaane mn rakha kiya hy
"~"

"~"
Yeh sunehra badan le ke mere samne na aa
"~"

"~"
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa kiya hy
"~"

"~"
Apne honton ko mere honton se choonay to de
"~"

"~"
Ek do ghoont se botal ka bigarta kiya hy
"~"

Tum Eid manao saj dhaj k... :(


Tum "EID" Manao sajh dhajh ke ,

Mein jaisa hon waisa hi sahi ,

Jis hal mein hon mein jaisa hon ,

Na poch sanam ab kaisa hon ,

Tum dil ka lagana ki jano
Tum ashk bahana kia jano ,

Tum nazuk phool ho gulshan ke
Tum aag mein jalna kia jano ,

Ye umar hai tere hansne ki
Nahein ishq mein aahein bharanay ki,

Meri qismat mein hai dard sanam
Sab seh longa taqdir k gham ,

Majbur milay jo ulfat mein
Sar aankhon par ye saray sitam ,

Jab Rab ko hai manzoor hai yahi ,

To "BISMILLAH" aisa hi sahi , ,

Tum Eid manao sajh dhajh k , , ,

Mein jese hon wese hi sahi —

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...